Best of Indian:Best And Famous Ahmad Faraz Shayari

Sunday 9 March 2014
Ahmad Faraz :Ahmad Faraz is one of the best poets pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots ofAhmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetries of ahmad faraz.
Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

To Line Ahmad Faraz Shayari

Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese..

     TO Words Of Ahmad Faraz

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..
wafa ke khwab muhabbat ka aasara le ja
agar chala hai to jo kuch mujhe diya le ja
maqam-e-sud-o-ziyan aa gaya hai phir janan
ye zakhm mere sahi tir to utha le ja
yahi hai qismat-e-sahara yahi karam tera
ki bund bund ata kar ghata ghata le ja
gurur-e-dost se itna bhi dilshikasta na ho
phir uth ke samane daman-e-iltaja le ja
nadamaten hon to sar bar-e-dosh hota hai
‘faraz’ jan ke evaz aabaru bacha le ja
Dost Ban Kar Bhii Nahiin Saath Nibhane Wala
Vahii Andaaz Hai Zaalim Kaa Zamaanevaalaa
Ab Ise Log Samajhate Hain Giraftaar Meraa
Sakht Nadiim Hai Mujhe Daam Main Laanevaalaa
Kyaa Kahain Kitane Maraasim The Hamaare Is Se
Wo Jo Ik Shakhs Hai Monh Pher Ke Jaanevaalaa

2 comments:

{ Unknown } at: 10 May 2015 at 20:51 said...

hello friends here you can read Hindi Shayari. and Urdu Shayari

if you want read romantic shayari Click Here.
thank

{ besturdushayari.com } at: 26 March 2019 at 03:54 said...

https://www.besturdushayari.com/

Post a Comment